Showing posts with label Prasoon Joshi. Show all posts
Showing posts with label Prasoon Joshi. Show all posts

Friday, February 6, 2009

Masakali MasaKali - Delhi 6

Mr Prasoon Joshi, creative director - Chairman, McCann-Erickson, the writer for great songs from movies like Dilli 6, Ghajini, Thoda Pyaar Thoda Magic, Taare Zameen Par, Fana, Rang De Basanti, Black, Rok Sako To Rok Lo, Phir Milenge , Hum Tum, Aankhen, Lajja .. someone who has written a song like "Meri Ma" from TZP which created a wave in the country with the lyrics and the strength in the words. the music added life to it anyways but it was the lyrics were awesome. Another grt wordings from Prasoon Joshi was "Is Bar Nahi" on the Mumbai 26/11 attacks.

Now such a person with profound deep words, fantastic sounding full of meaning, come out with a song like Masakali.

i mean have u read the lyrics!!

"Zara Phank jhatak Gai, Dhool Atak aur Lachak Machak Ke Duur Bhatak" and the bombay link to Heera Panna re.. :) hahahahha!!

this is awesome range of thinking.. the lyrics, the absolute not making any sense, random words put together with the feeling that they belong together and in no other way!! u actually have to read the lyrics so that u can sing along with the song and its such a fantastic tune that u cannot miss out on it. In the telecom sense,

if its the highest set RBT, ur song has arrived. it is the way it is, songs become a hit not by standard way of defining success but by telecom paralance. :D specially for the telecom guys, once a telecom always a telecom.
the song actually has been made so popular that it actually came in the papers too.. hahahah...

The lyrics now are:

Aye Masakali MasaKali
UD MataaKali MataaKali

Aye Masakali MasaKali
Ud Mataak Kali Mataak Kali

Aye Masakali Masa masa MasaKali
UD Mataak Kali Mataak Kali

Masakali MasaKali
Ud Mataak Kali Mataak Kali

Zara Phank jhatak Gai
Dhool Atak aur Lachak Machak Ke Duur Bhatak

Ud dagar dagar kasbe kuche nukkad basti

Mein yeah e yeah e

Itdi se Mud Ada Ud
Kar Le Puri Dil ki Tamanna
Hawa se Jud Ada Se Ud
Purr Bhuur bhurrr Phuurrr
Tu hai Hera Panna Ree

Masakali MasaKali
Ud Mataak Kali Mataak Kali

Masakali Masa masa Masa Kali
Hey Matak

Ghar tera saloni
Badal ki colony
Dekhade thenga In sabko jo udna na jane

Udiyo na dariyo
Kar manmani manmaani manmanni
Badhiyo naa mudiyon kar nadani

Udiyo na dariyo
Kar manmani manmaani manmanni
Badhiyo naa mudiyon kar naadani

Bas Than le muskaan le
Keh sana nana nana hawa

Baas thaan le tu jaan le
Keh sana nana na na na hawa

Aye Masakali MasaKali
UD MataaKali MataaKali

Aye Masakali MasaKali
UD MataaK mataak

re re re re re re
ra ra ra ra

Hey hey hey hyyy
ho ho hoo hoo

Tujhe kya gum tera ristha
Gagan ki basuri se hai
Pawan ki guftagu se hai
Suraj ki roshani se hai

Udiyo na dariyo
Kar manmani manmaani manmanni
Badhiyo naa mudiyon kar nadani

Udiyo na dariyo
Kar manmani manmaani manmanni
Badhiyo naa mudiyon kar naadani

abb Than le muskaan le
Keh sana nana nana hawa

Baas thaan le tu jaan le
Keh sana nana na na na hawa

Masakali MasaKali
UD MataaK MataaK MataakKali
Masakali Masa Masa MasaKali
MataaK mataak

re re re re re re
ra ra ra ra

Hey hey hey hyyy
ho ho hoo hoo

re re re re re re
ra ra ra ra

Hey hey hey hyyy
ho ho hoo hoo
Hey heyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyy.

Monday, December 1, 2008

Is baar nahin - Prasoon Joshi

Is baar nahin

Is baar jab woh choti si bachchi mere paas apni kharonch le kar aayegi
Main usey phoo phoo kar nahin behlaoonga
Panapney doonga uski tees ko

Is bar nahin

Is baar jab main chehron par dard likha dekhoonga
Nahin gaoonga geet peeda bhula dene wale
Dard ko risney doonga,utarney doonga andar gehrey

Is baar nahin

Is baar main na marham lagaoonga
Na hi uthaoonga rui ke phahey
Aur na hi kahoonga ki tum aankein band karlo,gardan udhar kar lo main dawa lagata hoon
Dekhney doonga sabko hum sabko khuley nangey ghaav

Is baar nahin

Is baar jab uljhaney dekhoonga,chatpatahat dekhoonga
Nahin daudoonga uljhee door lapetney
Uljhaney doonga jab tak ulajh sake

Is baar nahin

Is baar karm ka hawala de kar nahin uthaoonga auzaar
Nahin karoonga phir se ek nayee shuruaat
Nahin banoonga misaal ek karmyogi ki
Nahin aaney doonga zindagi ko aasani se patri par
Utarney doonga usey keechad main,tedhey medhey raston pe
Nahin sookhney doonga deewaron par laga khoon
Halka nahin padney doonga uska rang
Is baar nahin banney doonga usey itna laachaar ki paan ki peek aur khoon ka fark hi khatm ho jaye
Is baar nahin
Is baar ghawon ko dekhna hai
Gaur se
thoda lambe wakt tak
Kuch faisley
Aur uskey baad hausley
Kahin toh shuruat karni hi hogi
Is baar yahi tay kiya hai

Prasoon Joshi